Hindu Panchang ke anusar Nrisingh Jayanti ka vrat Vaishakh Maah ke Shukl Paksh ki Chaturthi Tithi ko manaya jata hai. Puranon me varnit kathaon ke anusar isi pavan divas ko bhakt Prahlad ki raksha karne ke liye Bhagvan Vishnu ne Nrisingh roop me avtar liya tha. Jis karanvash yah din Bhagvan Nrisingh ke jayanti roop me bade hi dhumdham aur harsollas ke sath manaya jata hai. Bhagvan Nrisingh Jayatni ki vrat katha is prakar se hai-
Kathanusar apne bhai ki mrityu ka badla lene ke liye Rakshasraaj Hiranyakashipu ne kathin tapasya karke Brahmaji va Shivji ko prasann kar unse ajey hone ka vardan prapt kar liya. Vardan prapt karte hi ahankarvash wah praja par atyachar karne laga aur unhe tarah-tarah ke yatnaayen aur kasht dene laga. Jisase praja atyant dukhi rahti thi. Inhi dino Hiranyakashipu ki pathi Kayadhu ne ek putra ko janm diya, jiska naam prahlad rakha gaya. Rakshas Kul me janm lene ke baad bhi bachpan se hi Shri Hari bhakti se Prahlad ko gahra lagav tha.
Hiranyakashipu ne Prahlad ka man Bhagvad bhakti se hatane ke liye kayi asafal prayas kiye, parantu wah safal nahi ho saka. Ek baar usne apni bahan Holika ki sahayata se use agni me jalane ka prayas kiya, parantu Prahlad par Bhagvan ki aseem kripa hone ke karan use mayusi hi hath lagi. Antatah ek din usne Prahlad ko talvar se marne ka prayas kiya, tab Bhagvan Nrisingh khambhe se prakat huye aur Hiranyakashipu ko apne janghon par lete huye uske sine ko apne naakhunon se faad diya aur apne bhakt ki raksha ki.
Bhakto ke anusar is din yadi koi vrat rakhte huye shraddha aur bhaktipoorvak Bhagvan Nrisingh ki seva-pooja karta hai to wah sabhi janmo ke paapo se mukt hokar Prabhu ke paramdham ko prapt karta hai.